Posts

Showing posts from March, 2018

Urdu Sad Poetry Pictures Images Series 4

Image
Yaad atai hai beetai zamanai, Jab tum ayai thy hum ko mananai Suno janaa tumhari khush naseebi ka kya kehna Tumhy wo shakhs bhi bai intiha chahta hai Wo utha rahy hai chalman wo dikha rahy hai soorat Kahe khoosh urh na jayai kahi dil machal na jayai Nahe hun mai qayail kise ki bat ka Maira apna asool , apni ana, apna mizaaj , apna Andaaz Kise ny hum sy pocha kai tumhara shuq kya hai..? Hum ny hans kar jawaab deya nafrat karny walo sy muhabbat Muhabbat haar kar jeena bohut dushwaar hota hai Osy bas itna keh daina bharam thora nahe karty Sirf aik hi bat sikhi hai en husaan walo sy hum ny Hasee jis ki jitni adaa hai wo utna hi bewafa hai Jaan lay lailaity hai un ka yai andaaz guftogo Daba kai honto mai ungli jab wo bat karty hain Muhabbat ki kahani mai kaha yai mor aty hai Jinhai hum dil mai rakhty hai wohi dil thor jaty hai.. Jee mai thaa chor dou dunya laiken raasta mout ka bhi dushwaar mila Jis ny ruswa sar-e-Bazaar keya wo bhi sar-e-Ruswaa bazaar mila..

Urdu Sad Poetry Pictures Images Series 3

Image
Dil aik ayaina hai agar wo badi sy pak hai To es mai khuda bhi nazar aasakta hai Apni tanhae mai tanha hi achi hun Mujhy zaroorat nahe do pal k saharo ki Aashna sy chaihro kai ajnabi rawaeyo ko Saih kar muskura daina afreen azeeyat hai Fasana keh rahy hain aaj apni muhabbat ka Khuda aisa kary maira kahe par naam aajayai Bicharnai ki itni jaldi the osy Khud ko chor gaya adha mujh mai O dil tor kai janai walay dil ki bat batata jaa Mein dil ko kya samjhaun mujh ko bhi samjha thaa jaa Parindo ki tarh mujhy bhi shajar chor kai jana hai Tarsaa karyngy log phir sy  mairy shor ko Tairy rabto mai waqfy tairy bhoolnai ki adat Kahi door ho na jana u nahe door raihty raihty Ao daikho mairy chaihro kai khadohaal ko ab Maan jao gy Muhabbat bhi nishaan chorti hai Rishto ko sambhalnai kai leyai jhukna parhy to jhuk jayai Laiken bar bar ap hi ko jhukna parhy to ruk jayai

Urdu Sad Poetry Pictures Images Series 2

Image
Mairy leyai to yai bhi azeyat ki bat the Tujh ko bhi haal-e-Dil sunana parha Os saadgi py kon na mar jayai A khuda Larty hai aur hath mein talwaar bhi nahe Wo chala gaya mujhy chor kar mai badal na paya aadatain Osy sochna osy chahna maira aaj bhi maamol hai Beemar han mai taire akheya da Deedar karwa mein bach jaawa Bas aik tu hi sabab tu nahe udaasi ka Tarah tarah kai dil ko malaal hoty hai Dil kyun kheencha jata hai os ki taraf A khuda Kya os ny bhi mujhy hasil karny ki dua mangi hai Bai as ki aankh sy tapaknai wala aansu Kitni hi ibadato par foqeyat ly jata hai Aajazi … minnat… khushAmad… iltija Aur mein kya kya karun …. Mar jaun kya Muhabbat basa kai maire aankho mai Saans saans ka mujhy muhtaaj kar de Saaqi taire sharaab mein talkhi ki kami hai Laa jam es mai dard-e-Muhabbat nachor do

Kamrai mai pyaar ki hai nishaani

Image
Kamrai mai pyaar ki hai nishaani parhi hove, Aik ashk khwaab maire jawaani parhi hove. Dareya muhabbato ka jo rukhta nahe thaa, Aankho mai thak kai eski rawaani parhi hove. Bikhary hai shayari kai yai awraaq gham zada, Takeyai mai aik chiti purani parhi hove. Kamrai kai es chiragh mein jalti hai dharkanai Khwaish hamarai dil kai hai fani parhi hove, Rehti nahe kise ki bhi nafrat yaha zara, Dil mai hai jab sy naik gumani parhi hove. Chae hove hai chaihry py yakh bastagi magar, Dil mai kahi hai Naz-e-nihane parhi hove. Barso huwy daraaz mai rakhi the bhool kar, Dhoodno kaha hai maire kahani , parhi hove Zinda hai Hamza kanje-Azeeyat mein es leyai, Dil mai hai enki yaad sohaani parhi hove…

Urdu Sad Poetry Pictures Images

Image
Aaphir sy rou baru kai ayai mujhy Qaraar Ab kai udaas you hun kai jeena mahaal hai Wafadari ka zikar ho to Ashraf-ul-makhlooqaat Kuto ki misaal dytai hain Jo taar sy nikli hai wo dhun sab ny suni hai Jo saaz py guzri hai wo kis dil ko pata hai Os ka haq hai os par ____ osi ka rahyga Muhabbat Chayai nahe _____ jo sab ko pila di jayai Taire har bat maan raha hun khamoshi sy, Yai bhi aik andaaz hai maire naraazgi ka Taveel asaraat chor jata hai Youn taira mukhtasar sa yaad ana Palkain bighonai lagta hai ab bhi taira khyaal Yaado kai shaihar sy taira mosam nahe guzra Maire muhabbat ko rad karta hai Hayai wo shakhs had karta hai Kitni muhabbat sy tumhai chaha thaa, Aur kis aqeedat sy haar mani hai.. Jama mujh mai karo kuch bhi , Lakh mujh ko zarbai do, Mein bas taqseem hoti hun Jab tum tafreeq hoty ho..